Friday 2 May 2014

Dur Ki Awaz

Subah ki halki roshni mai,apne kaam pe jate hue parkash ka dhayan ak choti si gathri par gaya..ak baar to us nee s gathri ko andekha kar diya..par kuch dur jane par us ke man mai yeh khayal aaya ki kuch to hai.es gathri mai….par kya ? wapis louta to parkash ki hairani ki seema na rahi,jab us gathri mai se ak navjaat shishu mila.kudrat ke es tohfe ka itna apmaan ? shayad koi bahut hi kadhor raha hoga,jo es sunsaan jagah es masum ko chor gaya hai.
Parkash ne bina waqt gawai,us masum ko udhaya….par jab us ko pata chala ki who beti nahi beta hai..us ki harani ki seema nahi rahi,ki jaha es duniya mai log bete ke liye beti
Ki bali de dete hai….parkash ke shor se aas paas ke log ekathe ho gaye..kuch ki ankhe nam the,kuch ke chare par gussa to kisi ne us insaan ko hazaro badduae de dali..par dukhi
Hone ki sub ki wajah ak hi thi…..parkash khud do betiyo ka pita tha,par us ke man mai
Kabhi un ko le kar koi dard koi takleef nahi thi..akhir who us ke jigar ke tukre the..
      Kudrat ke karishme ko aaj tak koi nahi jaan paya hai,who jab deta hai to kisi ko koi khabar nahi hoti…aur jab leta hai to bhi insaan samajah nahi pata….logo ke shor se
Parkash ki tandra tuti,who to us nanhe masum ke chere mai es kadar kho gaya tha ki who bhul gaya ki who to kaam pe jane ke liye nikla tha..awazo ke shor mai us ko sunai diya
Ki log police ko bulane ka naam le rahe hai,,,,,,nahi…….par jab tak who kuch kah pata,police aa chuki thi….par parkash ka man us nanhe se alag hone ka nahi tha….jaise who us ka apna ansh ho….
Hamari nazar jaha tak jati hai,waha sirf hame samne ki chese hi dikhai deti hai,par who kudrat hai,jo pahle se tay rakhi hai ki hamari kismet mai kya hai.insaan kai baar appa
Kho deta hai,aur Bhagwan se hazaro shikayate kar deta hai,larta bhi hai ki akhir us ki gali kya hai ? parkash kudrat ke esi faisle par hairaan pareshan ho raha tha..us ke paas do betiya hai,jo us ka garur hai….who es masum ko police thane mai kisi pahcaan ke liye
Nahi le jana chata tha….who to es masum ko apna beta maan chukka tha.jaisa us ka es masum se janmo ka nata ho.yeh to Bhagwan hi saksath us ke samne aaye the,us ko us ka
Beta loutane….achanak parkash jor se chilayya…..sahab yeh to mera beta hai,mujhe mila ak tohfa.ha yeh tohfa hi to hai…..
       Bhir mai sub ne parkash ka hi sath diya.kyu ki sahi mayne mai who us masum ka pita banne ka hakdaar tha.ak bahumulaya jaan us ne bachai the….jab sub sath the,to police ne bhi parkash ka sath diya…..who us masum ko le kar khushi khushi apne ghar gaya….us ki patni us k oak pyare se bacche ke sath dekh kar behad khush hui…..bajai es
Ko jane ki who ak beta hai……us ke liye who sirf ak masum baccha tha……………..

Parkash ka pariwar pura ho gaya tha…..aur es jashan mai who sari bhir shamil thi,jo us waqt bhi parkash ke sath thi,jab who us ko mila tha

दे कर रंग इन लबो को तेरे प्यार का.... .....

 दे कर रंग इन लबो को तेरे प्यार का,हम ने अपने लबो को सिल लिया...कुछ कहते नहीं अब इस ज़माने  से कि इन से कहने को अब बाकी रह क्या गया...नज़रे चु...